Hey Guys this is ahsan sohail. Or me app kay lia ajj jo
tutorial le kay aya hun woh list kay naam say ek tool hai App Inventor me. So mene
is tutorial me 3 Tools liya hain j jo kay
List View
Textbox
Button
Jis tarha kay app dekh suktay hain is me 3 number mene shamil kiya hain 1,2,3 is kay
saath saath app ko app kay right hand side per List view ki properties nazar a
rahi rahi hogai waha pay ja ElementsFromString
app ko type karna hai jitney bhi app number lagana chahtay ho like mene likha
hai (1,2,3) or coma lazmi hai lagana parhaye ga app ko kiun kay app ager nhi
lagtay to ya line me nhi ayein gay
Jaisay kay app ko maloom hai kay Mit App Inventor me block
kay zariya coding hoti hai just app ki logic sahi honi chaiya or app ko ya pata
hona chaiya kay app ko karna kya to app kam asani say kar suktay ho ager kuch
samjh me na anay ki surat me app ko mere facebook page pay mujhsay sawal kar
sukta hain ya to comment kar suktay hain mere blog pay.
So here we go.
Join kya hai ?
Abhi jis kam kay lia hum nay join lia hai woh ya hai kay hum
nay 3 string lenay hain un ki value show karwani hai textbox1 me
Jab hum kisi bhi listview1 ko pick karty hain us ka text
textbox1 jo hum nay liya tha us me chala jaye or phair app ko join ka ek block
lena hai jis me ya bataya gaya hai kay listview1 selectionindex matlab kay
listview1 pay ki index value show ho jaye textbox me phair ek space ka liya hum
nay blank text likha hai us kay nechay likha hai listview1 ka selection matlab
kay hum nay kon say button ko tab kiya hai us ki value ajaye